ENGLISH | اردو | Roman | Azerbaijani
🏠 🔍
Ta'qeebaat Namaz-e-Ishaa
(Mu'allif: Yeh du'a rizq ki du'aaon mein say hai aur mustahab hai kay namaaz-e-'Ishaa kay ba'd saat martabah Surah Innaa Anzalnaa paṛhaa jaa'ay aur naafilah-e-'Ishaa jis mein Qur'aan Majeed ki sau (100) aayatein hain paṛhay aur behtar yeh hai kay sau aayaton kay badlay pehli raka'at mein Surah Waaqi'ah aur doosri raka'at mein Surah Qul Huwallahu paṛhay (kay Surah Waaqi'ah mein 96 aayatein hain aur Surah Qul Huwallahu mein chaar aayatein hain).)
اَللّٰهُمَّ اِنَّهُ لَيْسَ لِيْ عِلْمٌ بِمَوْضِعِ رِزْقِيْ
Khudaaya mujhay nahin ma'loom hai kay meray rizq ki manzil kya hai.
وَ اِنَّمَا اَطْلُبُهُ بِخَطَرَاتٍ تَخْطُرُ عَلٰى قَلْبِيْ
Mein to sirf un khayaalaat kay peechhay dauṛta raha jo meray dil mein paida hotay hain,
فَاَجُوْلُ فِي طَلَبِهِ الْبُلْدَانَ
chunaanchay is raah mein shehar shehar kay chakkar lagaata hoon
فَاَنَا فِيْمَا اَنَا طَالِبٌ كَالْحَيْرَانِ
aur mein apnay maqsood kay liye hairaan-o-pareshaan hoon.
لَاۤ اَدْرِيْ اَ فِي سَهْلٍ هُوَ اَمْ فِيْ جَبَلٍ
Mujhay nahin ma'loom hai kay mera rizq sehraa mein hai ya pahaaṛ par,
اَمْ فِي اَرْضٍ اَمْ فِي سَمَاۤءٍ
zameen mein hai ya aasmaan par,
اَمْ فِي بَرٍّ اَمْ فِي بَحْرٍ
khushki mein hai ya daryaa mein
وَ عَلٰى يَدَيْ مَنْ
kis kay haathon mein hai,
وَ مِنْ قِبَلِ مَنْ
kis ki taraf say aanay waala hai.
وَ قَدْ عَلِمْتُ اَنَّ عِلْمَهُ عِنْدَكَ
Haan yeh jaanta hoon kay us ka 'ilm teray paas hai
وَ اَسْبَابَهُ بِيَدِكَ
aur us kay asbaab bhi teray hi haathon mein hai.
وَ اَنْتَ الَّذِيْ تَقْسِمُهُ بِلُطْفِكَ
Tu hi apnay lutf say usay taqseem karta hai
وَ تُسَبِّبُهُ بِرَحْمَتِكَ
aur apni rehmat say us kay asbaab paida karta hai.
اَللّٰهُمَّ فَصَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اجْعَلْ يَا رَبِّ رِزْقَكَ لِيْ وَاسِعًا
aur apnay rizq ko meray liye wasee' banaa day,
وَ مَطْلَبَهُ سَهْلًا
us kay talab ko aasaan kar day.
وَ مَأْخَذَهُ قَرِيْبًا
Us kay markaz ko qareeb tar banaa day
وَ لَا تُعَنِّنِي بِطَلَبِ مَا لَمْ تُقَدِّرْ لِي فِيْهِ رِزْقًا
aur mujhay aisay kisi rizq ki justaju ki zahmat mein nah daal dena jo tu nay meray liye muqarrar nahin kiya hai
فَاِنَّكَ غَنِيٌّ عَنْ عَذَابِيْ [عَنَاۤئِي‏]
is liye kay tu meray 'azaab say be-niyaaz hai
وَ اَنَا فَقِيْرٌ اِلٰى رَحْمَتِكَ
aur mein teri rehmat ka muhtaaj hoon.
فَصَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ جُدْ عَلٰى عَبْدِكَ بِفَضْلِكَ
aur fazl-o-karam say apnay bandah par mehrbaani farma
اِنَّكَ ذُوْ فَضْلٍ عَظِيْمٍ۔
keh tu Saahib-e-Fazl-e-'Azeem hai.