(Ta'qeeb Namaaz-e-Subh ba-naql Misbah-e-Mutahajjid)
Khudaaya Muhammad ('A.S.)-o-Aal-e-Muhammad ('A.S.) par rehmat naazil farma aur jahaan bhi haqq kay baaray mein koi ikhtilaaf hai mujhay haqq ki hidaayat 'ataa farma kay tu jis ko chaahay siraat-e-mustaqeem ki hidaayat day sakta hai.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اهْدِنِيْ لِمَا اخْتُلِفَ فِيْهِ مِنَ الْحَقِّ بِاِذْنِكَ
aur jahaan bhi haqq kay baaray mein koi ikhtilaaf hai mujhay haqq ki hidaayat 'ataa farma
اِنَّكَ تَهْدِيْ مَنْ تَشَاۤءُ اِلٰى صِرَاطٍ مُسْتَقِيْمٍ۔
kay tu jis ko chaahay siraat-e-mustaqeem ki hidaayat day sakta hai.
Khudaaya hamain us raastah par zindah rakhna jo Ali ('A.S.) ibn Abi Taalib ('A.S.) ka raastah hai aur usi par maut dena jo Ali bin Abi Taalib ('A.S.) ka raastah hai.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma,
۟اِلْاَوْصِيَاۤءِ الرَّاضِيْنَ الْمَرْضِيِّيْنَ
woh Aal-e-Paighambar jo awsiyyaa hain aur tujh say raazi hain aur teray pasandeedah bhi hain
بِاَفْضَلِ صَلَوَاتِكَ
unhein behtareen salawaat 'ataa farma
وَ بَارِكْ عَلَيْهِمْ بِاَفْضَلِ بَرَكَاتِكَ
aur behtareen barkaton say sarfaraaz farma,
وَ السَّلَامُ عَلَيْهِمْ
salaam un par un kay
وَ عَلٰى اَرْوَاحِهِمْ وَ اَجْسَادِهِمْ
arwaah-o-ajsaam par,
وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهُ ۔
aur Allah ki tamaam rehmatain aur barkatein un kay liye hain.
Mein Khuda say Jannat ka sawaal karta hoon
Mein Khuda say Hoor-'Ain ka sawaal karta hoon
اَللّٰهُمَّ اَحْيِنِيْ عَلٰى مَاۤ اَحْيَيْتَ عَلَيْهِ عَلِيَّ بْنَ اَبِي طَالِبٍ
Khudaaya hamain us raastah par zindah rakhna jo Ali ('A.S.) ibn Abi Taalib ('A.S.) ka raastah hai
وَ اَمِتْنِيْ عَلٰى مَا مَاتَ عَلَيْهِ عَلِيُّ بْنُ اَبِي طَالِبٍ عَلَيْهِ السَّلَامُ۔
aur usi par maut dena jo Ali bin Abi Taalib ('A.S.) ka raastah hai.
(Aur sau martabah Surah Tawheed aur sau martabah)
اَسْتَغْفِرُ اللهَ وَ اَتُوْبُ اِلَيْهِ
Mein Khuda ki baargaah mein istighfaar aur taubah kar raha hoon
اَسْاَلُ اللهَ الْعَافِيَةَ
Parwardigaar mein tujh say 'aafiyat ka sawaal kar raha hoon
اَسْتَجِيْرُ بِاللّٰهِ مِنَ النَّارِ
Mein jahannum say Khuda ki panaah chahta hoon
وَ اَسْاَلُهُ الْجَنَّةَ
Mein Khuda say Jannat ka sawaal karta hoon
اَسْاَلُ اللهَ الْحُوْرَ الْعِيْنَ۔
Mein Khuda say Hoor-'Ain ka sawaal karta hoon
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ الْمَلِكُ الْحَقُّ الْمُبِيْنُ
Us Khuda kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai jo Baadshah-e-Bar-Haqq hai
Khudaaya mein nay is muhkam rishtay say tamassuk kartay huay subh ki hai jis say muhkam tar koi rishtah nahin hai taa kay mein har zaalim aur raahzan kay sharr say mahfooz rahoon chaahay woh teri jaan-daar makhlooq mein ho ya be-jaan makhlooq mein, saamit ho ya naatiq keh mein har khaufnaak cheez say panaah mein rahoon is libaas-e-'aafiyat kay tufail mein jo teray Paighambar kay Ahl-e-Bait ('A.S.) ki muhabbat hai aur apnay ko mahfooz rakhoon har us shakhs say jo meray liye kisi aziyyat ka iraadah karay aur is muhkam sadd-e-Sikandari kay zariyeh jo haqq-e-Ahl-e-Bait ('A.S.) kay i'tiraaf mein ikhlaas aur un ki hidaayat say tamassuk kay zariyeh haasil hota hai is yaqeen kay saath kay haqq un kay liye hai, un kay saath hai aur unhi mein hai mein un sab say muhabbat karta hoon jin ki un say muhabbat karain aur un sab say alag rehtaa hoon jo un say alag ho ga'ay hain. Khudaaya mujhay un kay tufail mein har us shai' kay sharr say mahfooz rakhna jis say mein bachna chahta hoon. Ay Khudaay-e-'Azeem mein nay tamaam dushmanon ko rok diya hai us Maalik kay sahaaray jo zameen-o-aasman ka paida karnay waala hai jis ka irshaad hai kay hum nay un kay saamnay aur pusht say ek deewaar qaa'im kar dee hai aur un ki aankhon par parday daal diye hain kay ab woh zaalim kuch dekh nahin saktay hain.
صَلَّى اللهُ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Parwardigaar Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil karay
سُبْحَانَ اللّٰهِ
Paak-o-Paakeezah hai woh Khuda
وَ الْحَمْدُ لِلّٰهِ
aur hamd usi kay liye hai.
وَ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
Us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
وَ اللهُ اَكْبَرُ
Woh sab say Buzurg hai.
وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ۔
Us Khudaay-e-'Ali-o-'Azeem kay 'ilaawah koi quwwat-o-taaqat nahin hai.
مَا شَاۤءَ اللهُ كَانَ وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ۔
Jo Khuda nay chaaha woh ho gaya is liye kay Khudaay-e-'Ali-o-'Azeem kay 'ilaawah kisi kay paas koi taaqat nahin hai.
Banaam Khuda, Allah Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil karay mein apnay ma'amalaat ko Khuda kay hawaalay kar raha hoon kay woh apnay bandon kay haalaat ko behtar jaanta hai. Allah bandon ko logon kay makr-o-sharr ki buraa'i say bachaanay waala hai. Ay Khuda teray 'ilaawah koi ma'bood nahin hai. Mein khud apnay haqq mein zulm karnay waala hoon, hum hi nay banday ki du'a qabool ki aur usay gham say nijaat day dee aur hum isi tarah mo'mineen ko nijaat diya kartay hain, meray liye Khuda kaafi hai aur wohi behtareen zimmay daar, log us kay ne'mat-o-fazl say yun munqalib huay kay un tak koi buraa'i nahin pohnch sakki. Jo Allah nay chaaha woh ho gaya kay us kay 'ilaawah koi taaqat nahin hai. Usi ka chaaha hota hai. Logon ka chaaha nahin hota hai. Jo chahta hai ho jaata hai chaahay logon ko naagawaar hi kyun nah ho, meray liye paalnay waala tamaam makhlooqaat kay muqaablah mein aur khaaliq tamaam makhlooqaat kay muqaablah mein aur rizq denay waala bandon kay muqaablah mein kaafi hai. Aur Khudaay-e-Rabb ul-'Aalameen ba-har-haal kaafi hai, meray liye wohi kaafi hai jo kaafi hai. Woh hamesha say kaafi hai. Jab say mein wujood mein aaya hamesha meray liye kaafi raha. Wohi Khuda Khudaay-e-Kaafi hai, us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai. Usi par mera bharosa hai aur wohi Saahib-e-'Arsh-e-'Azeem hai.
اَصْبَحْتُ اَللّٰهُمَّ مُعْتَصِمًا بِذِمَامِكَ الْمَنِيْعِ
Khudaaya mein nay is muhkam rishtay say tamassuk kartay huay subh ki hai
الَّذِيْ لَا يُطَاوَلُ وَ لَا يُحَاوَلُ
jis say muhkam tar koi rishtah nahin hai taa kay mein
مِنْ شَرِّ كُلِّ غَاشِمٍ وَ طَارِقٍ
har zaalim aur raahzan kay sharr say mahfooz rahoon
مِنْ سَاۤئِرِ مَنْ خَلَقْتَ وَ مَا خَلَقْتَ
chaahay woh teri jaan-daar makhlooq mein ho ya
مِنْ خَلْقِكَ الصَّامِتِ وَ النَّاطِقِ
be-jaan makhlooq mein, saamit ho ya naatiq
فِي جُنَّةٍ مِنْ كُلِّ مَخُوْفٍ
keh mein har khaufnaak cheez say panaah mein rahoon
بِلِبَاسٍ سَابِغَةٍ
is libaas-e-'aafiyat kay tufail mein
وَلَاۤءِ اَهْلِ بَيْتِ نَبِيِّكَ
jo teray Paighambar kay Ahl-e-Bait ('A.S.) ki muhabbat hai
مُحْتَجِبًا مِنْ كُلِّ قَاصِدٍ لِيْ اِلٰى اَذِيَّةٍ
aur apnay ko mahfooz rakhoon har us shakhs say jo meray liye kisi aziyyat ka iraadah karay
بِجِدَارٍ حَصِيْنٍ
aur is muhkam sadd-e-Sikandari kay zariyeh
الْاِخْلَاصِ فِي الْاِعْتِرَافِ بِحَقِّهِمْ
jo haqq-e-Ahl-e-Bait ('A.S.) kay i'tiraaf mein ikhlaas
وَ التَّمَسُّكِ بِحَبْلِهِمْ
aur un ki hidaayat say tamassuk kay zariyeh haasil hota hai
مُوْقِنًا اَنَّ الْحَقَّ لَهُمْ وَ مَعَهُمْ
is yaqeen kay saath kay haqq un kay liye hai,
وَ فِيْهِمْ وَ بِهِمْ
un kay saath hai aur unhi mein hai
اُوَالِيْ مَنْ وَالَوْا
mein un sab say muhabbat karta hoon jo un say muhabbat karain
وَ اُجَانِبُ مَنْ جَانَبُوْا
aur un sab say alag rehtaa hoon jo un say alag ho ga'ay hain.
فَاَعِذْنِي اَللّٰهُمَّ بِهِمْ
Khudaaya mujhay un kay tufail mein
مِنْ شَرِّ كُلِّ مَا اَتَّقِيْهِ يَا عَظِيْمُ
har us shai' kay sharr say mahfooz rakhna jis say mein bachna chahta hoon. Ay Khudaay-e-'Azeem
حَجَزْتُ الْاَعَادِيَ عَنِّي بِبَدِيْعِ السَّمَاوَاتِ وَ الْاَرْضِ
mein nay tamaam dushmanon ko rok diya hai us Maalik kay sahaaray jo zameen-o-aasman ka paida karnay waala hai
اِنَّا جَعَلْنَا مِنْ بَيْنِ اَيْدِيْهِمْ سَدًّا
jis ka irshaad hai kay hum nay un kay saamnay
وَ مِنْ خَلْفِهِمْ سَدًّا
aur pusht say ek deewaar qaa'im kar dee hai
فَاَغْشَيْنَاهُمْ فَهُمْ لَا يُبْصِرُوْنَ ۔
aur un ki aankhon par parday daal diye hain kay ab woh zaalim kuch dekh nahin saktay hain.
سُبْحَانَ اللّٰهِ الْعَظِيْمِ وَ بِحَمْدِهِ
Paak-o-Munazzah hai woh Khudaay-e-Buzurg aur hamd usi kay liye hai.
وَ لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ
Koi taaqat aur koi quwwat is Khudaay-e-'Ali-o-'Azeem kay 'ilaawah nahin hai.
بِسْمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ
Khudaay-e-Rahmaan-o-Raheem kay naam say
لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ
aur koi quwwat aur tawaana'i is Khudaay-e-'Ali-o-'Azeem kay 'ilaawah nahin hai.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ بِحَقِّ مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ عَلَيْكَ
Khudaaya mein tujh say Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) kay is haqq kay waseelah say sawaal karta hoon
صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
jo tu nay un kay oopar qaraar diya hai kay Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اجْعَلِ النُّوْرَ فِي بَصَرِيْ
aur hamaari aankhon mein noor,
وَ الْبَصِيْرَةَ فِي دِيْنِيْ
hamaaray deen mein baseerat,
وَ الْيَقِيْنَ فِي قَلْبِيْ
hamaaray dil mein yaqeen,
وَ الْاِخْلَاصَ فِي عَمَلِيْ
hamaaray 'aml mein ikhlaas,
وَ السَّلَامَةَ فِي نَفْسِيْ
hamaaray nafs mein salaamati,
وَ السَّعَةَ فِي رِزْقِي
hamaaray rizq mein wus'at day
وَ الشُّكْرَ لَكَ اَبَدًا مَا اَبْقَيْتَنِيْ
aur hamain shukr ki tawfeeq 'ataa farma kay jab tak zindah rahoon tera shukr adaa kar ta rahoon.
بِسْمِ اللّٰهِ
Banaam Khuda,
وَ صَلَّى اللهُ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Allah Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil karay
وَ اُفَوِّضُ اَمْرِيْ اِلَى اللّٰهِ
mein apnay ma'amalaat ko Khuda kay hawaalay kar raha hoon
اِنَّ اللهَ بَصِيرٌ بِالْعِبَادِ
kay woh apnay bandon kay haalaat ko behtar jaanta hai.
فَوَقَاهُ اللهُ سَيِّئَاتِ مَا مَكَرُوْا
Allah bandon ko logon kay makr-o-sharr ki buraa'i say bachaanay waala hai.
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ سُبْحَانَكَ
Ay Khuda teray 'ilaawah koi ma'bood nahin hai.
اِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِيْنَ
Mein khud apnay haqq mein zulm karnay waala hoon,
فَاسْتَجَبْنَا لَهُ وَ نَجَّيْنَاهُ مِنَ الْغَمِّ
hum hi nay banday ki du'a qabool ki aur usay gham say nijaat day dee
وَ كَذٰلِكَ نُنْجِي الْمُؤْمِنِيْنَ
aur hum isi tarah mo'mineen ko nijaat diya kartay hain,
حَسْبُنَا اللهُ وَ نِعْمَ الْوَكِيْلُ
meray liye Khuda kaafi hai aur wohi behtareen zimmay daar,
فَانْقَلَبُوْا بِنِعْمَةٍ مِنَ اللّٰهِ وَ فَضْلٍ
log us kay ne'mat-o-fazl say yun munqalib huay kay
لَّمْ يَمْسَسْهُمْ سُوۤءٌ
un tak koi buraa'i nahin pohnch sakki.
مَا شَاۤءَ اللهُ
Jo Allah nay chaaha woh ho gaya kay
لَا حَوْلَ وَ لَا قُوَّةَ اِلَّا بِاللّٰهِ
us kay 'ilaawah koi taaqat nahin hai.
مَا شَاۤءَ اللهُ لَا مَا شَاۤءَ النَّاسُ،
Usi ka chaaha hota hai. Logon ka chaaha nahin hota hai.
مَا شَاۤءَ اللهُ وَ اِنْ كَرِهَ النَّاسُ
Jo chahta hai ho jaata hai chaahay logon ko naagawaar hi kyun nah ho,
حَسْبِيَ الرَّبُّ مِنَ الْمَرْبُوْبِيْنَ
meray liye paalnay waala tamaam makhlooqaat kay muqaablah mein
حَسْبِيَ الْخَالِقُ مِنَ الْمَخْلُوْقِيْنَ
aur Khaaliq tamaam makhlooqaat kay muqaablah mein
حَسْبِيَ الرَّازِقُ مِنَ الْمَرْزُوْقِيْنَ
aur rizq denay waala bandon kay muqaablah mein kaafi hai.
حَسْبِيَ اللهُ رَبُّ الْعَالَمِيْنَ
Aur Khudaay-e-Rabb ul-'Aalameen ba-har-haal kaafi hai,
حَسْبِيْ مَنْ هُوَ حَسْبِيْ
meray liye wohi kaafi hai jo kaafi hai.
حَسْبِيْ مَنْ لَمْ يَزَلْ حَسْبِيْ
Woh hamesha say kaafi hai.
حَسْبِيْ مَنْ كَانَ مُذْ كُنْتُ لَمْ يَزَلْ حَسْبِيْ
Jab say mein wujood mein aaya hamesha meray liye kaafi raha.
حَسْبِيَ اللهُ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ
Wohi Khuda Khudaay-e-Kaafi hai, us kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai.
عَلَيْهِ تَوَكَّلْتُ
Usi par mera bharosa hai
وَ هُوَ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيْمِ۔
aur wohi Saahib-e-'Arsh-e-'Azeem hai.