(Misbah-e-Mutahajjid say naql honay waali ta'qeeb Namaaz-e-'Asr)
Mein us Khuda say istighfaar karta hoon jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai, aur woh Hayy-o-Qayyoom, Rahmaan-o-Raheem aur Saahib-e-Jalaal-o-Ikraam hai aur us say sawaal karta hoon kay meri taubah ko is tarah qabool kar lay jis tarah kay ek bandah zaleel-o-haqeer-o-faqeer-o-pareshaan haal-o-miskeen, bechaarah-o-taalib-e-panaah ki du'a qabool ki jaati hai jis kay paas nah kisi faa'idah ka ikhtiyaar ho aur nah nuqsaan ka nah maut ka ikhtiyaar nah zindagi ka aur nah hashr-o-nashr ka
اَسْتَغْفِرُ اللهَ الَّذِيْ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ
Mein us Khuda say istighfaar karta hoon jis kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai,
الْحَيُّ الْقَيُّوْمُ
aur woh Hayy-o-Qayyoom,
اَلرَّحْمَنُ الرَّحِيْمُ
Rahmaan-o-Raheem
ذُو [ذَا] الْجَلَالِ وَ الْاِكْرَامِ
aur Saahib-e-Jalaal-o-Ikraam hai
وَ اَسْاَلُهُ اَنْ يَتُوْبَ عَلَيَّ
aur us say sawaal karta hoon kay
تَوْبَةَ عَبْدٍ ذَلِيْلٍ خَاضِعٍ
meri taubah ko is tarah qabool kar lay jis tarah kay ek bandah zaleel-o-haqeer-o-
فَقِيْرٍ بَاۤئِسٍ
faqeer-o-pareshaan haal-o-
مِسْكِيْنٍ مُسْتَكِيْنٍ مُسْتَجِيْرٍ
miskeen, bechaarah-o-taalib-e-panaah ki du'a qabool ki jaati hai
لَا يَمْلِكُ لِنَفْسِهِ نَفْعًا وَ لَا ضَرًّا
jis kay paas nah kisi faa'idah ka ikhtiyaar ho aur nah nuqsaan ka
وَ لَا مَوْتًا وَ لَا حَيَاةً وَ لَا نُشُوْرًا
nah maut ka ikhtiyaar nah zindagi ka aur nah hashr-o-nashr ka
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَعُوْذُ بِكَ مِنْ نَفْسٍ لَا تَشْبَعُ
Khudaaya mein teri panaah chahta hoon is nafs say jo kabhi sair nah ho,
وَ مِنْ قَلْبٍ لَا يَخْشَعُ
is dil say jis mein khush'oo nah ho,
وَ مِنْ عِلْمٍ لَا يَنْفَعُ،
is 'ilm say jis ka koi faa'idah nah ho,
وَ مِنْ صَلَاةٍ لَا تُرْفَعُ
is namaaz say jo teri baargaah tak pohnch nah sakay
وَ مِنْ دُعَاۤءٍ لَا يُسْمَعُ
aur is du'a say jo qaabil-e-qabool nah ho.
اَللّٰهُمَّ اِنِّي اَسْاَلُكَ الْيُسْرَ بَعْدَ الْعُسْرِ
Khudaaya mein zahmat kay ba'd aasaani,
وَ الْفَرَجَ بَعْدَ الْكَرْبِ
tangi kay ba'd wus'at
وَ الرَّخَاۤءَ بَعْدَ الشِّدَّةِ
aur shiddat kay ba'd suhoolat ka talabgaar hoon.
اَللّٰهُمَّ مَا بِنَا مِنْ نِعْمَةٍ فَمِنْكَ
Meray paas jo ne'mat bhi hai woh teri hi dee hu'i hai,
لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اَنْتَ
teray 'ilaawah koi doosraa Khuda nahin hai.
اَسْتَغْفِرُكَ وَ اَتُوْبُ اِلَيْكَ۔
Mein tujh hi say istighfaar kar raha hoon aur teri hi baargaah mein taubah kar raha hoon.