ENGLISH | اردو | Roman | Azerbaijani
🏠 🔍
0:00
اَشْهَدُ اَنْ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا اللهُ
Mein gawaahi deta hoon kay Allah kay 'ilaawah koi Khuda nahin hai
وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ
aur us ka koi shareek nahin hai
وَ اَشْهَدُ اَنَّكَ رَسُوْلُهُ
aur gawaahi deta hoon kay aap Allah kay Rasool hain
وَ اَنَّكَ مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللّٰهِ
aur aap hi Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) bin 'Abdillah hain.
وَ اَشْهَدُ اَنَّكَ قَدْ بَلَّغْتَ رِسَالَاتِ رَبِّكَ
Aur gawaahi deta hoon kay aap nay paighaamaat-e-Ilaahi ko pohnchaaya hai
وَ نَصَحْتَ لِاُمَّتِكَ
aur ummat ko naseehat ki hai
وَ جَاهَدْتَ فِي سَبِيْلِ اللّٰهِ
aur raah-e-Khuda mein
بِالْحِكْمَةِ وَ الْمَوْعِظَةِ الْحَسَنَةِ
hikmat aur naik maw'izah kay saath jihaad kiya hai
وَ اَدَّيْتَ الَّذِي عَلَيْكَ مِنَ الْحَقِّ
aur jo haqq aap kay zimmay thaa usay adaa kar diya hai.
وَ اَنَّكَ قَدْ رَؤُفْتَ بِالْمُؤْمِنِيْنَ
Aap nay mo'mineen par mehrbaani
وَ غَلُظْتَ عَلَى الْكَافِرِيْنَ
aur kaafiron par sakhti ki
وَ عَبَدْتَ اللهَ مُخْلِصًا
aur khuloos kay saath Allah ki 'ibaadat ki
حَتّٰى اَتَاكَ الْيَقِيْنُ
yahan tak kay dunya say chalay ga'ay.
فَبَلَغَ اللهُ بِكَ اَشْرَفَ مَحَلِّ الْمُكَرَّمِيْنَ
Parwardigaar aap ko mukarrameen ki buland tareen manzil par pohncha'ay.
الْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِي اسْتَنْقَذَنَا بِكَ
Shukr hai us Khuda ka jis nay hum ko aap kay zariyeh
مِنَ الشِّرْكِ وَ الضَّلَالِ
shirk aur zalaalat say nikaal liya hai.
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اجْعَلْ صَلَوَاتِكَ وَ صَلَوَاتِ مَلاَۤئِكَتِكَ
aur apni, apnay malaa'ikah,
وَ اَنْبِيَاۤئِكَ وَ الْمُرْسَلِيْنَ
anbiyaa-o-mursaleen-o-
وَ عِبَادِكَ الصَّالِحِيْنَ
'ibaad-e-saaliheen,
وَ اَهْلِ السَّمَاوَاتِ وَ الْاَرَضِيْنَ
tamaam ahl-e-samaawaat-o-arz
وَ مَنْ سَبَّحَ لَكَ يَا رَبَّ الْعَالَمِيْنَ
aur tamaam awwaleen-o-
مِنَ الْاَوَّلِيْنَ وَ الْاٰخِرِيْنَ
aakhireen kay tasbeeh guzaaron ki salawaat ko Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) par qaraar day
عَلٰى مُحَمَّدٍ عَبْدِكَ وَ رَسُوْلِكَ
jo teray banday, teray Rasool (S.A.W.W.),
وَ نَبِيِّكَ وَ اَمِيْنِكَ
Nabi, Ameen,
وَ نَجِيْبِكَ وَ حَبِيْبِكَ
teray Najeeb, teray Habeeb
وَ صَفِيِّكَ وَ صِفْوَتِكَ
Muntakhab, Pasandeedah,
وَ خَاصَّتِكَ وَ خَالِصَتِكَ
Mukhlis aur Khaalis banday hain
وَ خِيَرَتِكَ مِنْ خَلْقِكَ
jin ko tu nay muntakhab kiya hai
وَ اَعْطِهِ الْفَضْلَ وَ الْفَضِيْلَةَ
aur unhein fazl, fazeelat,
وَ الْوَسِيْلَةَ وَ الدَّرَجَةَ الرَّفِيْعَةَ
waseelah aur buland tareen darjah 'inaayat farmaya hai.
وَ ابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُوْدًا
Unhein us Maqaam-e-Mahmood tak pohncha day
يَغْبِطُهُ بِهِ الْاَوَّلُوْنَ وَ الْاٰخِرُوْنَ
jis par awwaleen-o-aakhireen ghabṭah karain.
اَللّٰهُمَّ اِنَّكَ قُلْتَ
Khudaaya tu nay farmaya hai kay
وَ لَوْ اَنَّهُمْ اِذْ ظَلَمُوْا اَنْفُسَهُمْ
agar log apnay nafs par zulm karnay kay ba'd Paighambar (S.A.W.W.) kay paas aa jaa'ein
جَاۤءُوْكَ فَاسْتَغْفَرُوْا اللهَ
aur Allah say istighfaar karain
وَ اسْتَغْفَرَ لَهُمُ الرَّسُوْلُ
aur Paighambar (S.A.W.W.) bhi un kay haqq mein istighfaar kar day
لَوَجَدُوْا اللهَ تَوَّابًا رَحِيمًا
to yaqeenan Allah ko taubah qabool karnay waala aur mehrbaan paa'ein gay.
اِلٰهِيْ فَقَدْ اَتَيْتُ نَبِيَّكَ مُسْتَغْفِرًا
Khudaaya mein teray Nabi (S.A.W.W.) ki baargaah mein aa gaya hoon istighfaar kartay huay
تَاۤئِبًا مِنْ ذُنُوْبِي،
aur gunaahon say taubah kartay huay
فَصَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِهِ
lihaaza Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par rehmat naazil farma
وَ اغْفِرْهَا لِيْ
aur meray gunaahon ko ma'aaf kar day.
يَا سَيِّدَنَا
Ay meray Sardaar
اَتَوَجَّهُ بِكَ وَ بِاَهْلِ بَيْتِكَ
mein aap kay aur aap kay Ahl-e-Bait ('A.S.) kay zariyeh Khuda ki taraf mutawajjih hoon
اِلٰى اللّٰهِ تَعَالٰى رَبِّكَ وَ رَبِّي
jo mera aur aap ka donon ka Rabb hai kay
لِيَغْفِرَ لِي،
woh meray gunaahon ko ma'aaf kar day.
اِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ
Hum sab Allah kay liye hain aur usi ki baargaah mein palaṭ kar jaanay waalay hain.
اُصِبْنَا بِكَ يَا حَبِيْبَ قُلُوْبِنَا
Ay Habeeb-e-Quloob hum aap kay gham mein soogwaar hain
فَمَا اَعْظَمَ الْمُصِيْبَةَ بِكَ
aur yeh bahut baṛi museebat hai kay
حَيْثُ انْقَطَعَ عَنَّا الْوَحْيُ
wahi ka silsilah munqaṭa' ho gaya hai
وَ حَيْثُ فَقَدْنَاكَ
aur hum nay aap ko kho diya hai.
فَاِنَّا لِلّٰهِ وَ اِنَّا اِلَيْهِ رَاجِعُوْنَ
Hum sab Allah kay liye hain aur usi ki baargaah mein palaṭ kar jaanay waalay hain.
يَا سَيِّدَنَا يَا رَسُوْلَ اللّٰهِ
Ay meray Sardaar, Ay Khuda kay Rasool (S.A.W.W.)
صَلَوَاتُ اللّٰهِ عَلَيْكَ وَ عَلٰى اٰلِ بَيْتِكَ [الطَّيِّبِيْنَ‏] الطَّاهِرِيْنَ
aap par aur aap kay Ahl-e-Bait-e-Taahireen ('A.S.) par salawaat ho.
هٰذَا يَوْمُ السَّبْتِ وَ هُوَ يَوْمُكَ
Yeh din aap ka hai aur is din mein
وَ اَنَا فِيْهِ ضَيْفُكَ وَ جَارُكَ
mein aap ka mehmaan hoon aur phir aap ki panaah mein hoon
فَاَضِفْنِيْ وَ اَجِرْنِي
lihaaza aap meri ziyaafat farma'ein aur mujhay panaah dein kay
فَاِنَّكَ كَرِيْمٌ تُحِبُّ الضِّيَافَةَ
aap Kareem hain aur ziyaafat ko pasand kartay hain
وَ مَأْمُوْرٌ بِالْاِجَارَةِ
aur panaah denay par ma'moor hain
فَاَضِفْنِيْ وَ اَحْسِنْ ضِيَافَتِيْ
Meri ziyaafat farma'ein aur behtareen ziyaafat farma'ein
وَ اَجِرْنَا وَ اَحْسِنْ اِجَارَتَنَا
aur mujhay panaah dein aur behtareen panaah dein.
بِمَنْزِلَةِ اللّٰهِ عِنْدَكَ وَ عِنْدَ اٰلِ بَيْتِكَ
Aap ko us manzil at ka waastah jo Allah ki aap kay aur aap kay Ahl-e-Bait ('A.S.) kay nazdeek hai
وَ بِمَنْزِلَتِهِمْ عِنْدَهُ
aur aap sab ki Allah kay nazdeek hai
وَ بِمَا اسْتَوْدَعَكُمْ مِنْ عِلْمِهِ
aur us 'ilm ka waastah jo Maalik nay aap ko 'inaayat kiya hai kay
فَاِنَّهُ اَكْرَمُ الْاَكْرَمِيْنَ۔
woh behtareen karam karnay waala hai.
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Rasool-e-Khuda (S.A.W.W.)
وَ رَحْمَةُ اللّٰهِ وَ بَرَكَاتُهُ
aur Khuda ki rehmat-o-barkat ho aap par.
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا مُحَمَّدَ بْنَ عَبْدِ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) bin 'Abdillah
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا خِيَرَةَ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Burguzeedah-e-Khuda
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا حَبِيْبَ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Habeeb-e-Khuda
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا صِفْوَةَ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Dost-e-Mukhlis-e-Parwardigaar
اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللّٰهِ
Salaam ho aap par ay Ameen-e-Wahy-e-Khuda
اَشْهَدُ اَنَّكَ رَسُوْلُ اللّٰهِ
Mein gawaahi deta hoon kay aap Allah kay Rasool (S.A.W.W.) hain
وَ اَشْهَدُ اَنَّكَ مُحَمَّدُ بْنُ عَبْدِ اللّٰهِ
Aap hi Hazrat Muhammad (S.A.W.W.) bin 'Abdillah hain
وَ اَشْهَدُ اَنَّكَ قَدْ نَصَحْتَ لِاُمَّتِكَ
aur mein gawaahi deta hoon kay aap nay apni ummat ko naseehat ki hai
وَ جَاهَدْتَ فِي سَبِيْلِ رَبِّكَ
Raah-e-Khuda mein jihaad kiya hai
وَ عَبَدْتَهُ حَتّٰى اَتَاكَ الْيَقِيْنُ
aur taa hayaat us ki 'ibaadat kartay rahay hain
فَجَزَاكَ اللهُ يَا رَسُوْلَ اللّٰهِ
Ya Rasool Allah (S.A.W.W.) Khuda aap ko woh behtareen jazaa day
اَفْضَلَ مَا جَزٰى نَبِيًّا عَنْ اُمَّتِهِ
jo kisi Nabi ko us ki ummat ki taraf say dee ga'i hai
اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍ وَ اٰلِ مُحَمَّدٍ
Khudaaya Muhammad (S.A.W.W.)-o-Aal-e-Muhammad (S.A.W.W.) par woh behtareen rehmat naazil farma
اَفْضَلَ مَا صَلَّيْتَ عَلٰى اِبْرَاهِيْمَوَ اٰلِ اِبْرَاهِيْمَ
jo tu nay Ibraheem ('A.S.) aur Aal-e-Ibraheem ('A.S.) par naazil ki hai kay
اِنَّكَ حَمِيْدٌ مَجِيْدٌ۔
tu Saahib-e-Majd-o-Buzurgwaari hai.